Faut sudagaan ka waseela
Faut sudagaan ka waseela
Agar Fout Shudagaan Ka Waseela Jaiz Hota To Nabi Se Zayadah Fazeelat Wali Zaat Kaunsi Hai Jiska Waseela Ikhteyar Kiya Jaye.? Agar Aisa Hota To Hazrat Umar R.a Nabi ﷺ ke Qabr e Mubarak Par Ja kar zarur Nabi ﷺ Ke Waseele Se Dua Karte.Lekin Aisa Nahi Hai.unhone Kya Kisi bhi Sahabi ne aisa nahi Kiya.kyunki wo achhi Tarah jante the ke ab Aap ﷺ see hamara Raabta khatm ho chuka hai is duniyawi zindagi se.
Anas Bin Malik Radialahu Anhu Riwayet Karte Hain Ki Hazrat Umar Radiallahu Anhu Jab Baarish Nahi Hoti Thi To Hazrat Abbas Bin Abdul Mutallib Se Baarish ki Dua Karwate The Aur Kahte The Ki Ya Allah Hum Apne Nabi Kareem Ko Teri Tarah(Dua Ke Liye ) Waseela Banate The Aur Tu Baarish Barsata tha (Ab Jabki Wo Ham Me Nahi Hain) Hum Apne Nabi Ke Chacha Ko (Dua Me) Waseela Banate Hain, Maalik Baarish Bhej, Aur Baarish Ho Jati Thi"
(SAHEEH BUKHARI:1010)
Ab Hum Khud Sochen Rasoolallah Se Zayadah Fazeelat Wali Zaat Kaunsi Hai Jiska Waseela Dua Me Ikhteyar Kiya Jaye. Hazrat Umar Radiallahu Anhu Se Zayadah Deen Ko Samajhne Wala Kaun Ho Sakta Hai. Nabi Ke Is Duniya Se Jane Ke Baad Woh Na To Nabi Ki Qabar e Mubarak Par Ja Kar Dua Karte Hain Aur Na Apni Dua Me Nabi Ko Waseela Banate Hain Balki Nabi Ke Chacha Hazrat Abbas R.a Se Dua Karwate Hain Jo Us Waqt Zinda The..
is Hadees Se Yehi Saabit Hoti Hai Ki Jo bhi Auliya Allah Ya Nek Buzurg Hayat se hain Unka Waseela Liya Ja Sakta hai Kisi Mahin Khan Faut shudagaan ka nahi.
Allah hame Saheeh Deen Ki Samajh Ata Farmaye.Aameen